Eklenme: Aug 27, 2008
Kimden: adityalok
Süre: 5:12
:- Kahte hai maryada purusottam sri ram ke smaran matra se hi sare sankat aur pap dhul jate hai , lekin aapko ye jankar behad aschrya hoga ki bharat varsh mein ek aisha bhi sthan hai jahan bhagwan sri Ram nein apne papo ko dhoya tha | Bhagwan sri Ram aur pap ye dono bhale hi vipreet sabd ho lekin ye baat saufi-sadi sach hai | Bharat ke utter-pradesh mein bhagwan sri Ram ki Janamsthali Ayodhya se 85 k.m. door Sultanpur ki Tahseel Lambhua ke beech Jnagalo mein Pawitra Gomati nadi se 100 feet ki unchyi par sthit ye teerthdham, jise log Dhopap kahte hai | Jangalo ke raste ko kat-kat kar banaye gaye rasto par log tango aur cycle par sawr hokar door-door se apne papo ko dhulane yanha khiche chale aate hai | Ved-puran ish baat ka gawah hai ki is rhasyamay sthal par kabhi bhagwan Ram nein apne papo ko dhoya tha, kahte hai jab ram chandra lanka se rawan ka wadh karke ayodhya laute to yanha ka Brahmin varg inhe Braham hatya ka dosi manane laga aur brahmano nein inke yahan bhoj ityadi mein jane se mana kar diya | anttah sri ram nein bade-bade sadhu aur vidwano se is pap ki mukti ka upay pooha to unhone batya ki yahan se paschim ki taraf ek brahmawat parwat hai jiske neech Adi ganga gomti nadi ki aviral dhara bahati hai | agar aap wahan yagya karane ke baad apne pap dhoyein to hi isse mukt ho sakeinge | jis sthan par bhagwan ram nein apne papo ko dhoya tha use dhootpap kaha gaya jo kalantar mein Dhopap ke nam se vikhyat ho gaya bhagwan sri Ram nei ganga dashara ke din yahan apne pap dhule the jis karan yahan har ganga dasahara ko lakho sradhloo aaakar apne papo ko dhulate hai | bhagwan sri Ram nein jis Dhanush-Ban se rawan ka sanhaar kiya tha use bhi unhone yahan ki pavitra gomati nadi ke jal mein dho dala tha tabhi se is sthan par gomati nadi nein apna roop parvartit kar dhanusakar mein kar liya | ye Bharat ka ek matra aisha sthan hai jahan Gomati ulti disha mein yaani ki Poorab jakar fir paschim ki disha mein dhanushakaar hokar bahti hai agar mandir se is nadi ko dekhe to mano nadi ki ye ada is baat ki gawah ho jati hai ki kabhi is nadi mein Sri Ram nein apne pap ko dhoya tha | Ye pracheen mandir saikado saal pahle raja Diyara nein prayaschit swaroop banwaya tha jo aaj bhi brahmawat parwat sthit hai jahan sri ram nein apne pap ghulane se pahle yagya kiya tha | yahan kabhi bharo ke aja sher saah soori ka rajya huwa karata tha jo pratidin aakr yahan snan karke bhagwan ram ki pratima par jal chadhta tha | yaha mritu paschat parijan savo ko lakar krikarm karke ushe isi nadi mein visarjit bhi karte hai | iatana hi nahi poorva pradhanmantri swa. indira gandhi Aur unke putra sanjay gandhi ke asthiyo ke ansh bhi ishi sthan par visarjit kiye gaye the |
Tür: News
Taglar: news
Rating: 5.00 (1 ratings) Görüntülenme: 702 Yorumlar: 0